itna to rakkha hai hamesha hausla iman mein
itnā to rakkhā hai hamesha hausla īmān meñ
Thukrā diyā hai us ko ham ne jo milā ehsān meñ
ḳhushbū mahakte phuul kī mahsūs karne ke liye
kyā ye zarūrī hai ki koī phuul ho gul-dān meñ
har baat par duniyā kī Dheroñ dekh kar chālākiyāñ
dikhne lagīñ haiñ jaane kitnī ḳhūbiyāñ nādān meñ
sab se baḌā nuqsān ham ko ye huā taqsīm se
ik bhaa.ī hindustān meñ ik bhaa.ī pākistān meñ
koī ġhazal yā nazm ho yā munfarid ash.ār hoñ
in ke sahāre qaid hai ik zindagī dīvān meñ
itna to rakkha hai hamesha hausla iman mein
Thukra diya hai us ko hum ne jo mila ehsan mein
KHushbu mahakte phul ki mahsus karne ke liye
kya ye zaruri hai ki koi phul ho gul-dan mein
har baat par duniya ki Dheron dekh kar chaalakiyan
dikhne lagin hain jaane kitni KHubiyan nadan mein
sab se baDa nuqsan hum ko ye hua taqsim se
ek bhai hindustan mein ek bhai pakistan mein
koi ghazal ya nazm ho ya munfarid ashaar hon
in ke sahaare qaid hai ek zindagi diwan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.