itna to zindagi pe mujhe iKHtiyar ho
itnā to zindagī pe mujhe iḳhtiyār ho
apnā chaḌhāv zehn pe apnā utaar ho
hai kaun jo vafā kare mujh se mire sivā
so mujh ko ishq aap hī se baar baar ho
tā-umr ḳhāmushī hī rahe ham-navā mirī
tanhā.ī ke sivā na koī ġham-gusār ho
is ke sivā kisī se mujhe kyā hī chāhiye
hasrat kī pālkī kā koī dil kahār ho
jo pahle aa.e haiñ vahī duniyā se jaa.eñ bhī
miTne kā saarā kaam ye tartīb-vār ho
shā.ir vo saarī umr akelā rahā bahut
'bānī' ke ās-pās hī apnā mazār ho
kah deñ ki husn itnī baḌī chiiz bhī nahīñ
sar pe jo koī roz sadāqat savār ho
khiḌkī se dekhte raheñ in parbatoñ kā husn
Table pe kārvāñ baje lab pe cigar ho
baaqī dukhoñ ke vāste bhī khol rakh kivāḌ
'rāhul' na ek dard pe yuuñ inhisār ho
itna to zindagi pe mujhe iKHtiyar ho
apna chaDhaw zehn pe apna utar ho
hai kaun jo wafa kare mujh se mere siwa
so mujh ko ishq aap hi se bar bar ho
ta-umr KHamushi hi rahe ham-nawa meri
tanhai ke siwa na koi gham-gusar ho
is ke siwa kisi se mujhe kya hi chahiye
hasrat ki palki ka koi dil kahaar ho
jo pahle aae hain wahi duniya se jaen bhi
miTne ka sara kaam ye tartib-war ho
shair wo sari umr akela raha bahut
'bani' ke aas-pas hi apna mazar ho
kah den ki husn itni baDi chiz bhi nahin
sar pe jo koi roz sadaqat sawar ho
khiDki se dekhte rahen in parbaton ka husn
Table pe karwan baje lab pe cigar ho
baqi dukhon ke waste bhi khol rakh kiwaD
'rahul' na ek dard pe yun inhisar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.