itne be-mehr mausamon mein bhi usne had kar di mehrbani ki
itne be-mehr mausamoñ meñ bhī us ne had kar dī mehrbānī kī
kiyā mehmān mujh musāfir ko aur phir dil se mezbānī kī
us ke andāz se jhalaktā thā koī kirdār dāstānoñ kā
us kī āvāz se bikhartī thī koī ḳhushbū kisī kahānī kī
shaam ḳhāmosh thī so us ne bhī guftugū se gurez karte hue
jalte jazboñ ko rakkhā āñkhoñ meñ jism se dil kī tarjumānī kī
pahle us ne gale lagāyā aur mujh ko phir le ga.ī bahishtoñ meñ
ek baat us ne kī zamīnī sī dūsrī baat āsmānī kī
ab to hālat huī re'āyā sī ab vo tārīḳh kyā kaheñ 'ḳhāvar'
dil kī jo saltanat milī thī hameñ us pe kis kis ne hukmrānī kī
itne be-mehr mausamon mein bhi us ne had kar di mehrbani ki
kiya mehman mujh musafir ko aur phir dil se mezbani ki
us ke andaz se jhalakta tha koi kirdar dastanon ka
us ki aawaz se bikharti thi koi KHushbu kisi kahani ki
sham KHamosh thi so us ne bhi guftugu se gurez karte hue
jalte jazbon ko rakkha aankhon mein jism se dil ki tarjumani ki
pahle us ne gale lagaya aur mujh ko phir le gai bahishton mein
ek baat us ne ki zamini si dusri baat aasmani ki
ab to haalat hui re'aya si ab wo tariKH kya kahen 'KHawar'
dil ki jo saltanat mili thi hamein us pe kis kis ne hukmrani ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.