itne imkan ke ujalon mein
itne imkān ke ujāloñ meñ
zindagī phañs ga.ī vabāloñ meñ
tajziya ḳhud kā jab kiyā ham ne
ziist gum ho ga.ī savāloñ meñ
kuchh nahīñ e'tibār mastoñ kā
raat din ġharq hai piyāloñ meñ
aaj bhī vaisī hī vo dikhtī hai
kuchh nahīñ badlā itne sāloñ meñ
ab ḳhayāloñ meñ tandurustī hai
aa ga.e jab se tum ḳhayāloñ meñ
maiñ abhī sun ke aayā huuñ qissa
aap kā zikr hai misāloñ meñ
Dūbne vaale phir na ubhre haiñ
kitne girdāb haiñ jamāloñ meñ
sharm se laal kyā huā chehra
paḌ ga.e gaDDhe surḳh gāloñ meñ
itne imkan ke ujalon mein
zindagi phans gai wabaalon mein
tajziya KHud ka jab kiya hum ne
zist gum ho gai sawalon mein
kuchh nahin e'tibar maston ka
raat din gharq hai piyalon mein
aaj bhi waisi hi wo dikhti hai
kuchh nahin badla itne salon mein
ab KHayalon mein tandurusti hai
aa gae jab se tum KHayalon mein
main abhi sun ke aaya hun qissa
aap ka zikr hai misalon mein
Dubne wale phir na ubhre hain
kitne girdab hain jamalon mein
sharm se lal kya hua chehra
paD gae gaDDhe surKH galon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.