itne sahe hain gham ki main kaise karun hisab
itne sahe hain gham ki main kaise karun hisab
Abu Hurrairah Abbasi
MORE BYAbu Hurrairah Abbasi
itne sahe haiñ ġham ki maiñ kaise karūñ hisāb
ye she'r kah rahā huuñ ki kuchh rakh sakūñ hisāb
har har ghaḌī jo yaad meñ guzrī hai aap kī
in uñgliyoñ ke poroñ pe sab kā rakhūñ hisāb
lo aap mil ga.e haiñ hameñ yuuñ raqīb-sang
bas baiThiye maiñ aap kā kartā chalūñ hisāb
ham ne to kar ke dekh lī koshish yahāñ bahut
lekin rahā yahāñ pe vahī juuñ kā tuuñ hisāb
apne liye be-mausam-o-be-vaqt sab hai 'aam
apne nasīb kā hai baḌā vāzhgūñ hisāb
aa.e hisāb ham se jo karne malā.ika
ham ne kahā ki ahl-e-jahannum se kyoñ hisāb
duniyā hamārī yuuñ to jahannum se kam na thī
munkir-nakīr aap kā is par bhī yuuñ hisāb
itne sahe hain gham ki main kaise karun hisab
ye she'r kah raha hun ki kuchh rakh sakun hisab
har har ghaDi jo yaad mein guzri hai aap ki
in ungliyon ke poron pe sab ka rakhun hisab
lo aap mil gae hain hamein yun raqib-sang
bas baiThiye main aap ka karta chalun hisab
hum ne to kar ke dekh li koshish yahan bahut
lekin raha yahan pe wahi jun ka tun hisab
apne liye be-mausam-o-be-waqt sab hai 'am
apne nasib ka hai baDa wazhgun hisab
aae hisab hum se jo karne malaika
hum ne kaha ki ahl-e-jahannum se kyon hisab
duniya hamari yun to jahannum se kam na thi
munkir-nakir aap ka is par bhi yun hisab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.