itne tanha hain ki ab phirte hain hum dhupon mein
itne tanhā haiñ ki ab phirte haiñ ham dhūpoñ meñ
saath saayā ho to kuchh baat kareñ rastoñ meñ
ai bahār is ko na de sāya-e-gul meñ āvāz
hai havā-e-chamanī uḌte hue pattoñ meñ
tū dikhānī nahīñ detā to shikāyat kaisī
terī āvāz to aatī hai mirī sāñsoñ meñ
merā chehra kisī ujḌe hue ghar kī sūrat
aur dhuāñ bujhte charāġhoñ kā mirī āñkhoñ meñ
aa dikhā.ūñ tujhe maiñ apnā gulistāñ pyāre
kis qadar phūloñ ke chehre haiñ mire zaḳhmoñ meñ
kyuuñ miTā dī hai banā kar mirī hiire kī lakīr
sañg Dhonā hī jo likkhā thā mire hāthoñ meñ
ai peshawar maiñ musāfir to nahīñ huuñ lekin
sar jhukā.e hue phirtā huuñ tirī galiyoñ meñ
kab tirī aañkh meñ thī karb kī ye lo 'hashamī'
thī kahāñ choT kī āvāz tirī bātoñ meñ
itne tanha hain ki ab phirte hain hum dhupon mein
sath saya ho to kuchh baat karen raston mein
ai bahaar is ko na de saya-e-gul mein aawaz
hai hawa-e-chamani uDte hue patton mein
tu dikhani nahin deta to shikayat kaisi
teri aawaz to aati hai meri sanson mein
mera chehra kisi ujDe hue ghar ki surat
aur dhuan bujhte charaghon ka meri aankhon mein
aa dikhaun tujhe main apna gulistan pyare
kis qadar phulon ke chehre hain mere zaKHmon mein
kyun miTa di hai bana kar meri hire ki lakir
sang Dhona hi jo likkha tha mere hathon mein
ai peshawar main musafir to nahin hun lekin
sar jhukae hue phirta hun teri galiyon mein
kab teri aankh mein thi karb ki ye lo 'hashami'
thi kahan choT ki aawaz teri baaton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.