itne zamane bhar ke sitam dekhte rahe
itne zamāne bhar ke sitam dekhte rahe
phir bhī ḳhudā kā sab pe karam dekhte rahe
ghar ko hamāre sāmne luuTā gayā magar
mūrat bane khaḌe hue ham dekhte rahe
miTTī kā ik khilaunā jo bachche se gir gayā
tab se ham us kī āñkhoñ ko nam dekhte rahe
dekhā na hogā chāñd kisī ne qarīb se
thā rū-ba-rū ḳhudā kī qasam dekhte rahe
ab tak kisī bhī chehre pe Thahrī nahīñ nazar
'irfān' kyā thā tujh meñ jo ham dekhte rahe
itne zamane bhar ke sitam dekhte rahe
phir bhi KHuda ka sab pe karam dekhte rahe
ghar ko hamare samne luTa gaya magar
murat bane khaDe hue hum dekhte rahe
miTTi ka ek khilauna jo bachche se gir gaya
tab se hum us ki aankhon ko nam dekhte rahe
dekha na hoga chand kisi ne qarib se
tha ru-ba-ru KHuda ki qasam dekhte rahe
ab tak kisi bhi chehre pe Thahri nahin nazar
'irfan' kya tha tujh mein jo hum dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.