itni arzan mai-e-gulfam na thi
itnī arzāñ mai-e-gulfām na thī
jab vo maḳhmūr nazar aam na thī
tujh se vābasta hai merī qismat
ye ḳhabar gardish-e-ayyām na thī
yaad aate haiñ vo lamhāt ki jab
zindagī sho.ala-bar-andām na thī
thī jahāñ manzil-e-irfān-o-yaqīñ
duur tak sarhad-e-auhām na thī
kyā huā sham.a ko ye pichhle pahar
muzmahil itnī sar-e-shām na thī
haañ batā chashm-e-haqīqat-āgāh
zindagī kyā thī gar in.aam na thī
itni arzan mai-e-gulfam na thi
jab wo maKHmur nazar aam na thi
tujh se wabasta hai meri qismat
ye KHabar gardish-e-ayyam na thi
yaad aate hain wo lamhat ki jab
zindagi shoala-bar-andam na thi
thi jahan manzil-e-irfan-o-yaqin
dur tak sarhad-e-auham na thi
kya hua shama ko ye pichhle pahar
muzmahil itni sar-e-sham na thi
han bata chashm-e-haqiqat-agah
zindagi kya thi gar inam na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.