itni bhi dil se ehtiyat barq-e-jamal-e-yar kya
itnī bhī dil se ehtiyāt barq-e-jamāl-e-yār kyā
shauq-e-umīd-vār dekh tarf-e-umīd-vār kyā
kaisī ḳhushī kahāñ kā ġham kaisī ḳhizāñ bahār kyā
zindagī ek jabr hai jabr pe iḳhtiyār kyā
va.ade pe koī kyoñ jiye va.ade kā e.atibār kyā
kashmakash-e-hayāt hai maut kā intizār kyā
pahle bhī dil meñ dard thā aah na thī lab-āshnā
chhuT gayā haath se mire dāman-e-iḳhtiyār kyā
husn kī ibtidā nahīñ ishq kī intihā nahīñ
fikr kī vus.at-e-nazar qābil-e-e'tibār kyā
ek nazar kā kaam hai luuT le dil kī kā.enāt
ahd-e-shabāb-e-husn-o-ishq aa.egā baar baar kyā
rāh-e-ġham-e-firāq meñ maut kā aasrā na DhūñDh
jis meñ umīd-e-sub.h ho vo shab-e-intizār kyā
jhuum rahī hai har nazar mai-kada-e-surūr meñ
aaj fazā pe chhā ga.ī mastī-e-chashm-e-yār kyā
ek latīf aks hai apne ḳhayāl kā 'munīr'
shān-e-sukūt-e-ishq kyā jalva-e-be-qarār kyā
itni bhi dil se ehtiyat barq-e-jamal-e-yar kya
shauq-e-umid-war dekh tarf-e-umid-war kya
kaisi KHushi kahan ka gham kaisi KHizan bahaar kya
zindagi ek jabr hai jabr pe iKHtiyar kya
wade pe koi kyon jiye wade ka eatibar kya
kashmakash-e-hayat hai maut ka intizar kya
pahle bhi dil mein dard tha aah na thi lab-ashna
chhuT gaya hath se mere daman-e-iKHtiyar kya
husn ki ibtida nahin ishq ki intiha nahin
fikr ki wusat-e-nazar qabil-e-e'tibar kya
ek nazar ka kaam hai luT le dil ki kaenat
ahd-e-shabab-e-husn-o-ishq aaega bar bar kya
rah-e-gham-e-firaq mein maut ka aasra na DhunDh
jis mein umid-e-subh ho wo shab-e-intizar kya
jhum rahi hai har nazar mai-kada-e-surur mein
aaj faza pe chha gai masti-e-chashm-e-yar kya
ek latif aks hai apne KHayal ka 'munir'
shan-e-sukut-e-ishq kya jalwa-e-be-qarar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.