itni hawa na waiz-e-din-dar bandhiye
itnī havā na vā.iz-e-dīñ-dār bāñdhiye
izzat sañbāliye sar-e-dastār bāñdhiye
gum kījiye havās ko tafsīr-e-hosh meñ
dānish ko jahl jahl ko pindār bāñdhiye
mahrūm-e-hosh soiye par diije dād-e-hosh
gul ko giyāh dasht ko gulzār bāñdhiye
bū chhīniye guloñ se ki dete haiñ zauq-e-fan
yuuñ ḳhush-navā tuyūr kī chahkār bāñdhiye
ab juz havā nahīñ hai girah meñ hamārī ḳhaak
sau baar kholiye use sau baar bāñdhiye
bhaḌkī hai aag 'arsh' ḳhayābān-e-bazm meñ
hadd-e-jalāl-e-sho.ala-e-guftār bāñdhiye
itni hawa na waiz-e-din-dar bandhiye
izzat sanbaaliye sar-e-dastar bandhiye
gum kijiye hawas ko tafsir-e-hosh mein
danish ko jahl jahl ko pindar bandhiye
mahrum-e-hosh soiye par dije dad-e-hosh
gul ko giyah dasht ko gulzar bandhiye
bu chhiniye gulon se ki dete hain zauq-e-fan
yun KHush-nawa tuyur ki chahkar bandhiye
ab juz hawa nahin hai girah mein hamari KHak
sau bar kholiye use sau bar bandhiye
bhaDki hai aag 'arsh' KHayaban-e-bazm mein
hadd-e-jalal-e-shoala-e-guftar bandhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.