itni KHushbu to mulaqat mein rahne dije
itnī ḳhushbū to mulāqāt meñ rahne diije
apnī pahchān mirī zaat meñ rahne diije
shahr meñ aur na.e zaḳhm na ugne paa.eñ
shāhzādoñ ko havālāt meñ rahne diije
sar chalā jaa.e ye dastār na jaane paa.e
itnā tevar to rivāyāt meñ rahne diije
kal kī TuuTī huī dīvār ke kaam ā.eñgī
jitnī īñTeñ haiñ hisābāt meñ rahne diije
kab ye kahtā huuñ ki maiñ koī valī-zāda huuñ
ḳhāksārī hī karāmāt meñ rahne diije
aap ke shahr meñ sūraj to nikalne se rahā
ek mash.al hī mire haat meñ rahne diije
aag aur phuul kī pahchān nahīñ jis ko 'riyāz'
aise insān ko ḳhatrāt meñ rahne diije
itni KHushbu to mulaqat mein rahne dije
apni pahchan meri zat mein rahne dije
shahr mein aur nae zaKHm na ugne paen
shahzadon ko hawalat mein rahne dije
sar chala jae ye dastar na jaane pae
itna tewar to riwayat mein rahne dije
kal ki TuTi hui diwar ke kaam aaengi
jitni inTen hain hisabaat mein rahne dije
kab ye kahta hun ki main koi wali-zada hun
KHaksari hi karamat mein rahne dije
aap ke shahr mein suraj to nikalne se raha
ek mashal hi mere hat mein rahne dije
aag aur phul ki pahchan nahin jis ko 'riyaz'
aise insan ko KHatraat mein rahne dije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.