itni mushkil mein bhi ahbab na Dalen mujhko
itnī mushkil meñ bhī ahbāb na Dāleñ mujh ko
ki sambhalnā bhī na chāhūñ to sambhāleñ mujh ko
ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ ġham-e-jāñ ek hue
Dar rahā huuñ ye kahīñ maar na Dāleñ mujh ko
munfarid merī tabī.at hai ye hālāt kahīñ
ravish-e-ām ke sāñche meñ na Dhāleñ mujh ko
maiñ to is par bhī huuñ raazī ki tire shahr ke log
mere bante nahīñ apnā hī banā leñ mujh ko
aap mujh se kisī ta.abīr kī phir baat kareñ
pahle is ḳhvāb-e-tamannā se jagā leñ mujh ko
nahīñ ma.alūm ki kal tak maiñ rahūñ yā na rahūñ
mehrbāñ aaj hī jī-bhar ke satā leñ mujh ko
gardishoñ ke liye ab tak na ye mumkin na huā
kisī sūrat mire mehvar se haTā leñ mujh ko
in bulandī ke makīnoñ ko mayassar hī nahīñ
'lais' vo haath jo pastī se uThā leñ mujh ko
itni mushkil mein bhi ahbab na Dalen mujh ko
ki sambhalna bhi na chahun to sambhaalen mujh ko
gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-jaan ek hue
Dar raha hun ye kahin mar na Dalen mujh ko
munfarid meri tabiat hai ye haalat kahin
rawish-e-am ke sanche mein na Dhaalen mujh ko
main to is par bhi hun raazi ki tere shahr ke log
mere bante nahin apna hi bana len mujh ko
aap mujh se kisi tabir ki phir baat karen
pahle is KHwab-e-tamanna se jaga len mujh ko
nahin malum ki kal tak main rahun ya na rahun
mehrban aaj hi ji-bhar ke sata len mujh ko
gardishon ke liye ab tak na ye mumkin na hua
kisi surat mere mehwar se haTa len mujh ko
in bulandi ke makinon ko mayassar hi nahin
'lais' wo hath jo pasti se uTha len mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.