itni mushkil to na thi meri kitab-e-zindagi
itnī mushkil to na thī merī kitāb-e-zindagī
kuchh ulajh ke rah gayā hai ab nisāb-e-zindagī
zindagī letī hai mujh se ek ik pal kā hisāb
thak ga.ī huuñ dete dete maiñ hisāb-e-zindagī
mujh ko pesh aatī rahī haiñ mushkileñ hī mushkileñ
jān-levā hai ilāhī ye azāb-e-zindagī
mujh se gar koī bhī pūchhe zindagī kyā chiiz hai
maiñ kahūñgī ek dīvāne kā ḳhvāb-e-zindagī
dil ne sargoshī sī kī hai sun mire hamdam zarā
chheḌ ke to dekh kaisā hai rabāb-e-zindagī
tujh se maiñ kaise kahūñ ye baat mere ham-navā
yaad aatā hai mujhe aksar shabāb-e-zindagī
kaT ga.ī jaise kaTī bas tū ḳhudā ko yaad kar
ai 'nasīm' ab Dhal rahā hai āftāb-e-zindagī
itni mushkil to na thi meri kitab-e-zindagi
kuchh ulajh ke rah gaya hai ab nisab-e-zindagi
zindagi leti hai mujh se ek ek pal ka hisab
thak gai hun dete dete main hisab-e-zindagi
mujh ko pesh aati rahi hain mushkilen hi mushkilen
jaan-lewa hai ilahi ye azab-e-zindagi
mujh se gar koi bhi puchhe zindagi kya chiz hai
main kahungi ek diwane ka KHwab-e-zindagi
dil ne sargoshi si ki hai sun mere hamdam zara
chheD ke to dekh kaisa hai rabab-e-zindagi
tujh se main kaise kahun ye baat mere ham-nawa
yaad aata hai mujhe aksar shabab-e-zindagi
kaT gai jaise kaTi bas tu KHuda ko yaad kar
ai 'nasim' ab Dhal raha hai aaftab-e-zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.