Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itni pyari hansi tumhaari shahzadi

Muntazir Firozabadi

itni pyari hansi tumhaari shahzadi

Muntazir Firozabadi

MORE BYMuntazir Firozabadi

    itnī pyārī hañsī tumhārī shahzādī

    saare ghar ko jagmag kartī shahzādī

    rah rah karke ḳhayāl tumhārā aayā hai

    din bhar gūñjī baat tumhārī shahzādī

    motu-patlu gattu-battu dekh ke tum

    piiT rahī ho kitnī taalī shahzādī

    chup ho jaao chup ho jaao chup ho tum

    itnā bhī kyā ġhussa kartī shahzādī

    aaj tumhārā happy badday hotā hai

    bolo ham se kyā kyā logī shahzādī

    sabz duā.eñ phuuT rahīñ haiñ lab se mere

    merī pyārī raaj dulārī shahzādī

    dīvālī pe milnā to ab hogā

    ḳhuub kareñge ātish-bāzī shahzādī

    ik achchhā shahzāda bhī DhūñDheñge

    ab kyā logī jaan hamārī shahzādī

    itni pyari hansi tumhaari shahzadi

    sare ghar ko jagmag karti shahzadi

    rah rah karke KHayal tumhaara aaya hai

    din bhar gunji baat tumhaari shahzadi

    motu-patlu gattu-battu dekh ke tum

    piT rahi ho kitni tali shahzadi

    chup ho jao chup ho jao chup ho tum

    itna bhi kya ghussa karti shahzadi

    aaj tumhaara happy badday hota hai

    bolo hum se kya kya logi shahzadi

    sabz duaen phuT rahin hain lab se mere

    meri pyari raj dulari shahzadi

    diwali pe milna to ab hoga hi

    KHub karenge aatish-bazi shahzadi

    ek achchha sa shahzada bhi DhunDhenge

    ab kya logi jaan hamari shahzadi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now