itni shiddat se gale mujhko lagaya hua hai
itnī shiddat se gale mujh ko lagāyā huā hai
aisā lagtā hai ki vaqt āḳhirī aayā huā hai
kyuuñ na is baat pe ho jaa.eñ ye āñkheñ pāgal
niiñd bhī utrī huī ḳhvāb bhī aayā huā hai
ab ke holī pe lagā rañg utartā hī nahīñ
kis ne is baar hameñ rañg lagāyā huā hai
sochtā huuñ ki use ḳhud ko maiñ in.aam karūñ
ek laḌkī ne tirā bhes banāyā huā hai
aañkh meñ beTī ke aayā thā magar dekho 'ziyā'
ek aañsū ne hameñ kitnā rulāyā huā hai
itni shiddat se gale mujh ko lagaya hua hai
aisa lagta hai ki waqt aaKHiri aaya hua hai
kyun na is baat pe ho jaen ye aankhen pagal
nind bhi utri hui KHwab bhi aaya hua hai
ab ke holi pe laga rang utarta hi nahin
kis ne is bar hamein rang lagaya hua hai
sochta hun ki use KHud ko main inam karun
ek laDki ne tera bhes banaya hua hai
aankh mein beTi ke aaya tha magar dekho 'ziya'
ek aansu ne hamein kitna rulaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.