itni si aankh ne gham kitna uTha liya hai
itnī sī aañkh ne ġham kitnā uThā liyā hai
kashtī ne apne andar dariyā uThā liyā hai
us nī-vasl se ye tark-e-ta.alluq achchhā
chāñdī ko rakh ke maiñ ne sonā uThā liyā hai
ik to pagār jaise bachchoñ kī jeb-ḳharchī
uupar se dostoñ kā ḳharcha uThā liyā hai
ḳhushbū ke āshiqoñ ko taz.īn-e-bāġh se kyā
jo phuul bhī zarā sā mahkā uThā liyā hai
chubh jaa.e soī bhī to bhāgeñ mujhe dikhāne
jaise ki maiñ ne sab kā Thekā uThā liyā hai
naanī ne tark kar dī kyuuñ rasm-e-qissa-goī
kyā chāñd se kisī ne charḳha uThā liyā hai
itni si aankh ne gham kitna uTha liya hai
kashti ne apne andar dariya uTha liya hai
us ni-wasl se ye tark-e-talluq achchha
chandi ko rakh ke main ne sona uTha liya hai
ek to pagar jaise bachchon ki jeb-KHarchi
upar se doston ka KHarcha uTha liya hai
KHushbu ke aashiqon ko tazin-e-bagh se kya
jo phul bhi zara sa mahka uTha liya hai
chubh jae soi bhi to bhagen mujhe dikhane
jaise ki main ne sab ka Theka uTha liya hai
nani ne tark kar di kyun rasm-e-qissa-goi
kya chand se kisi ne charKHa uTha liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.