itni si zindagi bhi hai kitni garan mujhe
itnī sī zindagī bhī hai kitnī garāñ mujhe
denā hai gaam gaam abhī imtihāñ mujhe
raste meñ taar taar bikher aa.e the jise
luuTe hai shaam shaam vahī dāstāñ mujhe
achchhā huā ki jal ga.ī tinkoñ kī kā.enāt
ab to na deñgī ta.ana kabhī bijliyāñ mujhe
husn-e-fareb merā mizāj-e-suḳhan nahīñ
rakhiyo muaaf is se magar dostāñ mujhe
aap aa ga.e to kaalī ghaTā bhī baras paḌī
aatā hai varna harf-e-shikāyat kahāñ mujhe
qismat kī baat kahiye ki ye vaqt kā qusūr
ab mehrbāñ bhī ban ga.e nā-mehrbāñ mujhe
ye dhuñdlā dhuñdlā naqsh ye yādeñ ye shām-e-ġham
le jā rahā hai vaqt na jaane kahāñ mujhe
yādash-ba-ḳhair 'nāzish'-e-āvāra chal basā
dīvāna de gayā hai magar dhajjiyāñ mujhe
itni si zindagi bhi hai kitni garan mujhe
dena hai gam gam abhi imtihan mujhe
raste mein tar tar bikher aae the jise
luTe hai sham sham wahi dastan mujhe
achchha hua ki jal gai tinkon ki kaenat
ab to na dengi tana kabhi bijliyan mujhe
husn-e-fareb mera mizaj-e-suKHan nahin
rakhiyo muaf is se magar dostan mujhe
aap aa gae to kali ghaTa bhi baras paDi
aata hai warna harf-e-shikayat kahan mujhe
qismat ki baat kahiye ki ye waqt ka qusur
ab mehrban bhi ban gae na-mehrban mujhe
ye dhundla dhundla naqsh ye yaaden ye sham-e-gham
le ja raha hai waqt na jaane kahan mujhe
yaadash-ba-KHair 'nazish'-e-awara chal basa
diwana de gaya hai magar dhajjiyan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.