itni wahshat hai dar-o-baam Daraate hain mujhe
itnī vahshat hai dar-o-bām Darāte haiñ mujhe
kitnī vīrān huuñ maiñ log batāte haiñ mujhe
ik taraf vo hai jo ḳhushiyoñ se gale miltā hai
ik taraf maiñ ki sab āzār satāte haiñ mujhe
jin charāġhoñ ko tirī shah pe chamaknā aayā
itne be-faiz ki ḳhud bujh ke jalāte haiñ mujhe
jāgtī aañkh to vo sāmne aa.e na kabhī
ḳhvāb meñ haath pakaḌ ke jo uThāte haiñ mujhe
hijr ke habs meñ be-jān mohabbat jazbe
ghar ke pankhe talak ehsās dilāte haiñ mujhe
'tājvar' us se kaho vo hai mohabbat pahlī
vo nahīñ miltā bahut log bulāte haiñ mujhe
itni wahshat hai dar-o-baam Daraate hain mujhe
kitni viran hun main log batate hain mujhe
ek taraf wo hai jo KHushiyon se gale milta hai
ek taraf main ki sab aazar satate hain mujhe
jin charaghon ko teri shah pe chamakna aaya
itne be-faiz ki KHud bujh ke jalate hain mujhe
jagti aankh to wo samne aae na kabhi
KHwab mein hath pakaD ke jo uThate hain mujhe
hijr ke habs mein be-jaan mohabbat jazbe
ghar ke pankhe talak ehsas dilate hain mujhe
'tajwar' us se kaho wo hai mohabbat pahli
wo nahin milta bahut log bulate hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.