ittifāqan huī saaqī tirī guftār ġhalat
jaise kahne lagā har baat ko mai-ḳhvār ġhalat
tum ko hotā hai yaqīñ hotī hai takrār ġhalat
roz ik baat kahā karte haiñ aġhyār ġhalat
dil mirā taakā thā aur zaḳhm jigar par maarā
kyā tirā haath paḌā aaj sitamgār ġhalat
sar mirā kaaT le jallād na uf niklegī
kabhī kahne kā nahīñ terā vafādār ġhalat
hosh meñ aa ke lagā zaḳhm zarā o qātil
tere ghabrāne se paḌ jaatī hai talvār ġhalat
jo vo kahtā hai masīhā to yaqīñ lā us ko
haal kahne kā nahīñ hai tirā bīmār ġhalat
vo jo kuchh kahte haiñ aġhyār vahī kahte haiñ
apnī ham baat ko kah dete haiñ nā-chār ġhalat
chheḌne ko unheñ maiñ baat kiye jaatā huuñ
mere kahne ko vo kah dete haiñ har baar ġhalat
roz kahtā hai na jā.ūñgā maiñ un zulfoñ meñ
dil-e-nādāñ tirā ho jaatā hai inkār ġhalat
qabr meñ aane kahā hai to 'shafīq' aa.egā
kabhī kahne kā nahīñ merā madad-gār ġhalat
ittifaqan hui saqi teri guftar ghalat
jaise kahne laga har baat ko mai-KHwar ghalat
tum ko hota hai yaqin hoti hai takrar ghalat
roz ek baat kaha karte hain aghyar ghalat
dil mera taka tha aur zaKHm jigar par mara
kya tera hath paDa aaj sitamgar ghalat
sar mera kaT le jallad na uf niklegi
kabhi kahne ka nahin tera wafadar ghalat
hosh mein aa ke laga zaKHm zara o qatil
tere ghabrane se paD jati hai talwar ghalat
jo wo kahta hai masiha to yaqin la us ko
haal kahne ka nahin hai tera bimar ghalat
wo jo kuchh kahte hain aghyar wahi kahte hain
apni hum baat ko kah dete hain na-chaar ghalat
chheDne ko unhen main baat kiye jata hun
mere kahne ko wo kah dete hain har bar ghalat
roz kahta hai na jaunga main un zulfon mein
dil-e-nadan tera ho jata hai inkar ghalat
qabr mein aane kaha hai to 'shafiq' aaega
kabhi kahne ka nahin mera madad-gar ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.