izhaar-e-bandagi ka maza humse puchhiye
iz.hār-e-bandagī kā maza ham se pūchhiye
sajde meñ ājizī kā maza ham se pūchhiye
un ke laboñ pe aa ke ga.ī jo abhī abhī
halkī sī us hañsī kā maza ham se pūchhiye
sab kuchh bhulā ke us ko lagā.eñge ham gale
dushman se dostī kā maza ham se pūchhiye
allāh re samānā ye siine meñ ilm kā
dastār-e-āgahī kā maza ham se pūchhiye
rekhā.eñ jaise haath kī apnī badal ga.iiñ
ustād kī chhaḌī kā maza ham se pūchhiye
hai lutf is meñ kitnā hameñ hai patā 'nisār'
is urdu shā.erī kā maza ham se pūchhiye
izhaar-e-bandagi ka maza hum se puchhiye
sajde mein aajizi ka maza hum se puchhiye
un ke labon pe aa ke gai jo abhi abhi
halki si us hansi ka maza hum se puchhiye
sab kuchh bhula ke us ko lagaenge hum gale
dushman se dosti ka maza hum se puchhiye
allah re samana ye sine mein ilm ka
dastar-e-agahi ka maza hum se puchhiye
rekhaen jaise hath ki apni badal gain
ustad ki chhaDi ka maza hum se puchhiye
hai lutf is mein kitna hamein hai pata 'nisar'
is urdu shaeri ka maza hum se puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.