izhaar-e-gham ko shauq ne aasan bana liya
iz.hār-e-ġham ko shauq ne āsāñ banā liyā
zabt-e-suḳhan ko baat kā unvāñ banā liyā
ham ne bahār-e-rafta kī tasvīr ke liye
shāḳh-e-mizha ko shāḳh-e-gul-afshāñ banā liyā
dekhā zamāna-e-guzarāñ ko usī ne ḳhuub
āñkhoñ ko jis ne rauzan-e-zindāñ banā liyā
zholīdgī ki mere ḳhayāloñ kī jaan thī
tum ne usī ko zulf kā unvāñ banā liyā
jab ḳhud harīf rang-e-gulistāñ na ho sake
ḳhud ko harīf-e-rang-e-gulistāñ banā liyā
ārā.ish-e-harīm-e-vafā ke ḳhayāl se
har dāġh-e-dil ko sham-e-farozāñ banā liyā
'fitrat' harīm-e-shauq meñ aanā jo thā unheñ
ashkoñ ko ham ne sham-e-shabistāñ banā liyā
izhaar-e-gham ko shauq ne aasan bana liya
zabt-e-suKHan ko baat ka unwan bana liya
hum ne bahaar-e-rafta ki taswir ke liye
shaKH-e-mizha ko shaKH-e-gul-afshan bana liya
dekha zamana-e-guzaran ko usi ne KHub
aankhon ko jis ne rauzan-e-zindan bana liya
zholidgi ki mere KHayalon ki jaan thi
tum ne usi ko zulf ka unwan bana liya
jab KHud harif rang-e-gulistan na ho sake
KHud ko harif-e-rang-e-gulistan bana liya
aaraish-e-harim-e-wafa ke KHayal se
har dagh-e-dil ko sham-e-farozan bana liya
'fitrat' harim-e-shauq mein aana jo tha unhen
ashkon ko hum ne sham-e-shabistan bana liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.