izhaar-e-haqiqat ki jasarat nahin hoti
iz.hār-e-haqīqat kī jasārat nahīñ hotī
bāġhī huuñ magar us se baġhāvat nahīñ hotī
ik marhala aisā bhī to aatā hai junūñ meñ
ḳhalvat meñ bhī jab lazzat-e-ḳhalvat nahīñ hotī
ham ma.abad-e-irfāñ ke pujārī haiñ azal se
ham se shab-e-dījūr kī bai'at nahīñ hotī
kuchh bhī use kah lījiye insān na kahiye
vo jis ko ḳhatāoñ pe nadāmat nahīñ hotī
ye kaam mire bas meñ nahīñ maslahatan bhī
mujh se kabhī bātil kī vakālat nahīñ hotī
yuuñ qahr-e-ḳhudāvand se Dartā to bahut huuñ
lekin kabhī taufīq-e-ibādat nahīñ hotī
āñkhoñ se mire niiñd uchak le gayā koī
ḳhvāboñ meñ bhī ab us kī ziyārat nahīñ hotī
izhaar-e-haqiqat ki jasarat nahin hoti
baghi hun magar us se baghawat nahin hoti
ek marhala aisa bhi to aata hai junun mein
KHalwat mein bhi jab lazzat-e-KHalwat nahin hoti
hum mabad-e-irfan ke pujari hain azal se
hum se shab-e-dijur ki bai'at nahin hoti
kuchh bhi use kah lijiye insan na kahiye
wo jis ko KHataon pe nadamat nahin hoti
ye kaam mere bas mein nahin maslahatan bhi
mujh se kabhi baatil ki wakalat nahin hoti
yun qahr-e-KHudawand se Darta to bahut hun
lekin kabhi taufiq-e-ibaadat nahin hoti
aankhon se mere nind uchak le gaya koi
KHwabon mein bhi ab us ki ziyarat nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.