izhaar-e-jazba-e-dil-e-poshida dekhna
izhaar-e-jazba-e-dil-e-poshida dekhna
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
iz.hār-e-jazba-e-dil-e-poshīda dekhnā
ab phuul ḳhud haiñ ḳhaar ke girvīda dekhnā
ahd-e-ravāñ kā jalva-e-shorīda dekhnā
bedār jo hai fitna-e-ḳhvābīda dekhnā
terī bisāt-e-jabr-o-tashaddud ulaT na jaa.e
ab ke to ham bhī ho ga.e sanjīda dekhnā
saa.e pe zindagī ke na kar is qadar ghamanD
dīvār us kī kab se hai bosīda dekhnā
tark-e-ta.alluqāt kā khul jā.egā bharam
mahfil meñ yuuñ na phir mujhe duzdīda dekhnā
ḳhud vaqt hī batā.egā vo din ḳhudā kare
tujh ko bhī ghar kī aag meñ nam-dīda dekhnā
hotā hai jo bhī ġham vo ubhartā hai kab yahāñ
galiyāñ haiñ shahr-e-ishq kī pechīda dekhnā
sahbā-e-ġham se shīsha-e-dil par na kyoñ rahe
tasvīr us pe hai koī chaspīda dekhnā
aatā hai intiqām bhī lenā magar 'kalīm'
dil chāhtā nahīñ use ranjīda dekhnā
izhaar-e-jazba-e-dil-e-poshida dekhna
ab phul KHud hain KHar ke girwida dekhna
ahd-e-rawan ka jalwa-e-shorida dekhna
bedar jo hai fitna-e-KHwabida dekhna
teri bisat-e-jabr-o-tashaddud ulaT na jae
ab ke to hum bhi ho gae sanjida dekhna
sae pe zindagi ke na kar is qadar ghamanD
diwar us ki kab se hai bosida dekhna
tark-e-talluqat ka khul jaega bharam
mahfil mein yun na phir mujhe duzdida dekhna
KHud waqt hi bataega wo din KHuda kare
tujh ko bhi ghar ki aag mein nam-dida dekhna
hota hai jo bhi gham wo ubharta hai kab yahan
galiyan hain shahr-e-ishq ki pechida dekhna
sahba-e-gham se shisha-e-dil par na kyon rahe
taswir us pe hai koi chaspida dekhna
aata hai intiqam bhi lena magar 'kalim'
dil chahta nahin use ranjida dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.