iztirab-e-gham se hasil hai sukun-e-dil mujhe
iztirab-e-gham se hasil hai sukun-e-dil mujhe
Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi
MORE BYMuhammad Hasan Ahsan Maliganvi
iztirāb-e-ġham se hāsil hai sukūn-e-dil mujhe
ab koī mushkil nazar aatī nahīñ mushkil mujhe
chalte hī jaadū mire dil par fareb-e-husn kā
kar diyā āġhāz ne anjām se ġhāfil mujhe
merī ḳhush-fahmī hai yā hai merī āñkhoñ kā qusūr
mauj meñ aa.e nazar nazzāra-e-sāhil mujhe
mahfil-e-ishrat na ban jaa.e kahīñ mātam-kada
is liye uThne nahīñ detā hai dard-e-dil mujhe
be-ḳhudī hī be-ḳhudī hai ai nigāh-e-shuq-e-dīd
vo mujhe hāsil hai lekin kyā huā hāsil mujhe
kho diyā mujh ko fareb-e-justujū-e-yār ne
haa.e manzil bhī nahīñ miltī sar-e-manzil mujhe
aa ga.ī kaam aa ga.ī 'ahsan' mirī dīvāngī
vo samajhne lag ga.e zanjīr ke qābil mujhe
iztirab-e-gham se hasil hai sukun-e-dil mujhe
ab koi mushkil nazar aati nahin mushkil mujhe
chalte hi jadu mere dil par fareb-e-husn ka
kar diya aaghaz ne anjam se ghafil mujhe
meri KHush-fahmi hai ya hai meri aankhon ka qusur
mauj mein aae nazar nazzara-e-sahil mujhe
mahfil-e-ishrat na ban jae kahin matam-kada
is liye uThne nahin deta hai dard-e-dil mujhe
be-KHudi hi be-KHudi hai ai nigah-e-shuq-e-did
wo mujhe hasil hai lekin kya hua hasil mujhe
kho diya mujh ko fareb-e-justuju-e-yar ne
hae manzil bhi nahin milti sar-e-manzil mujhe
aa gai kaam aa gai 'ahsan' meri diwangi
wo samajhne lag gae zanjir ke qabil mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.