iztirab-e-KHud-numai-o-haya mein farq hai
iztirāb-e-ḳhud-numā.ī-o-hayā meñ farq hai
ham samajhte haiñ jo un kī har adā meñ farq hai
dosto ijmāl kī tafsīl kā mauqa' nahīñ
maiñ ye kahtā huuñ ki iḳhlās-o-riyā meñ farq hai
ek iqdām-e-yaqīñ hai dūsrā shak-āshnā
e'tirāf-e-laġhzish-e-‘uzr-o-ḳhatā meñ farq hai
haal chehre se 'ayāñ hotā hai lafzoñ se nahīñ
yā'nī ab mā’nan sukūt-o-iltijā meñ farq hai
ek hī 'ālam meñ haiñ sab jāda-paimā-e-'adam
vaise hone ko yahāñ shāh-o-gadā meñ farq hai
ek tūfānoñ pe qādir ek tūfāñ-āzmā
ye haqīqat hai ḳhudā-o-nā-ḳhudā meñ farq hai
is kā pahle faisla ho qāfila kyūñkar luTā
ye ġhalat hai rahzan-o-jāda-numā meñ farq hai
chaḌhte sūraj ke pujārī Dūbtā sūraj bhī dekh
ye batānā hai zavāl-o-irtiqā meñ farq hai
vaj.h-e-mahrūmī hai merī shān-e-istiġhnā 'urūj'
dast-kash meñ aur dast-e-nā-rasā meñ farq hai
iztirab-e-KHud-numai-o-haya mein farq hai
hum samajhte hain jo un ki har ada mein farq hai
dosto ijmal ki tafsil ka mauqa' nahin
main ye kahta hun ki iKHlas-o-riya mein farq hai
ek iqdam-e-yaqin hai dusra shak-ashna
e'tiraf-e-laghzish-e-‘uzr-o-KHata mein farq hai
haal chehre se 'ayan hota hai lafzon se nahin
ya'ni ab ma’nan sukut-o-iltija mein farq hai
ek hi 'alam mein hain sab jada-paima-e-'adam
waise hone ko yahan shah-o-gada mein farq hai
ek tufanon pe qadir ek tufan-azma
ye haqiqat hai KHuda-o-na-KHuda mein farq hai
is ka pahle faisla ho qafila kyunkar luTa
ye ghalat hai rahzan-o-jada-numa mein farq hai
chaDhte suraj ke pujari Dubta suraj bhi dekh
ye batana hai zawal-o-irtiqa mein farq hai
wajh-e-mahrumi hai meri shan-e-istighna 'uruj'
dast-kash mein aur dast-e-na-rasa mein farq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.