iztirab-e-shauq mein ilham ka dhoka hua
iztirāb-e-shauq meñ ilhām kā dhokā huā
dil jo dhaḌkā aap ke paiġhām kā dhokā huā
baat itnī thī ki us ne ik zarā pherī thī aañkh
aur mujh ko gardish-e-ayyām kā dhokā huā
marhabā husn-e-tasavvur gesuoñ kī chhāñv kā
ġham kī taptī dhuup thī aur shaam kā dhokā huā
jazb haiñ nazroñ meñ yuuñ us husn kī rangīniyāñ
aañkh uThī jis par usī gulfām kā dhokā huā
de rahe the hadiya-e-tabrīk vo aġhyār ko
aur 'mubārak' mujh ko apne naam kā dhokā huā
iztirab-e-shauq mein ilham ka dhoka hua
dil jo dhaDka aap ke paigham ka dhoka hua
baat itni thi ki us ne ek zara pheri thi aankh
aur mujh ko gardish-e-ayyam ka dhoka hua
marhaba husn-e-tasawwur gesuon ki chhanw ka
gham ki tapti dhup thi aur sham ka dhoka hua
jazb hain nazron mein yun us husn ki ranginiyan
aankh uThi jis par usi gulfam ka dhoka hua
de rahe the hadiya-e-tabrik wo aghyar ko
aur 'mubarak' mujh ko apne nam ka dhoka hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.