izzat mujhe mili hai bahut iltija ke baad
izzat mujhe milī hai bahut iltijā ke baad
dar pe gayā na ġhair ke rab kī atā ke baad
achchhā huā ki aarzū puurī nahīñ huī
nikhrī hamārī ḳhvāhisheñ apnī qazā ke baad
karne lageñge raah meñ jugnū bhī raushnī
sūraj jo Duub jā.egā ḳhatm-e-ziyā ke baad
har be-vafā ne āshiyāñ apnā badal diyā
tanhā rahā huuñ shahr meñ zikr-e-vafā ke baad
paanī pe maiñ ne maar ke patthar samajh liyā
Dūbeñge ahl-e-zulm bhī jaur-o-jafā ke baad
hoñge hazār qism ke anjum to kyā huā
tab bhī falak na chāhiye maañ kī ridā ke baad
'irfān' vo to ḳhuld meñ karne lage safar
masjid kī or aa.e jo farsh-e-azā ke baad
izzat mujhe mili hai bahut iltija ke baad
dar pe gaya na ghair ke rab ki ata ke baad
achchha hua ki aarzu puri nahin hui
nikhri hamari KHwahishen apni qaza ke baad
karne lagenge rah mein jugnu bhi raushni
suraj jo Dub jaega KHatm-e-ziya ke baad
har be-wafa ne aashiyan apna badal diya
tanha raha hun shahr mein zikr-e-wafa ke baad
pani pe main ne mar ke patthar samajh liya
Dubenge ahl-e-zulm bhi jaur-o-jafa ke baad
honge hazar qism ke anjum to kya hua
tab bhi falak na chahiye man ki rida ke baad
'irfan' wo to KHuld mein karne lage safar
masjid ki or aae jo farsh-e-aza ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.