izzat unhen mili wahi aaKHir baDe rahe
izzat unheñ milī vahī āḳhir baḌe rahe
jo ḳhaak ho ke aap ke dar par paḌe rahe
ai dost muġhtanim haiñ vo murādān-e-bā-vaqār
usrat meñ bhī jo aan pe apnī aḌe rahe
pāyāb ho ke sail ne un ke qadam liye
mañjdhār meñ jo paañv jamā.e khaḌe rahe
paḌtī nahīñ har ek pe us kī nigāh-e-nāz
saaqī ke āstāñ pe hazāroñ paḌe rahe
apnoñ kī talḳh-goī kī lazzat na pūchhiye
bhāle se umr bhar rag-e-jāñ meñ gaḌe rahe
mānind-e-sañg-e-mīl dikhā.ī har ik ko raah
lekin ḳhud apne paañv zamīñ meñ gaḌe rahe
zālim se ek bose pe barsoñ rahī hai zid
āḳhir tak apnī baat pe ham bhī aḌe rahe
shāyad ki multafit ho koī shahsavār-e-nāz
kis aarzū se ham sar-e-manzil khaḌe rahe
fitne bahut haiñ but-kada o ḳhānqāh meñ
achchhe rahe jo dasht-e-junūñ meñ paḌe rahe
'vāsif' kā intizār thā sahrā meñ bād-e-qais
kāñTe bhī muddatoñ yūñhī pyāse paḌe rahe
izzat unhen mili wahi aaKHir baDe rahe
jo KHak ho ke aap ke dar par paDe rahe
ai dost mughtanim hain wo muradan-e-ba-waqar
usrat mein bhi jo aan pe apni aDe rahe
payab ho ke sail ne un ke qadam liye
manjdhaar mein jo panw jamae khaDe rahe
paDti nahin har ek pe us ki nigah-e-naz
saqi ke aastan pe hazaron paDe rahe
apnon ki talKH-goi ki lazzat na puchhiye
bhaale se umr bhar rag-e-jaan mein gaDe rahe
manind-e-sang-e-mil dikhai har ek ko rah
lekin KHud apne panw zamin mein gaDe rahe
zalim se ek bose pe barson rahi hai zid
aaKHir tak apni baat pe hum bhi aDe rahe
shayad ki multafit ho koi shahsawar-e-naz
kis aarzu se hum sar-e-manzil khaDe rahe
fitne bahut hain but-kada o KHanqah mein
achchhe rahe jo dasht-e-junun mein paDe rahe
'wasif' ka intizar tha sahra mein baad-e-qais
kanTe bhi muddaton yunhi pyase paDe rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.