ja-ba-ja hai naghma-KHwan
jā-ba-jā hai naġhma-ḳhvāñ
merā dil merī zabāñ
sunñe vaalā hī nahīñ
kyā karūñ qissa bayāñ
mujh se vābasta na kar
ishq kā sūd-o-ziyāñ
paañv ke nīche zamīñ
aur sar par āsmāñ
ḳhud to aage aa gayā
rakh gayā kuchh darmiyāñ
us ne pherī hai nazar
maiñ abhī tak huuñ yahāñ
apnī vus.at jāñch le
ḳhud miTā vahm-o-gumāñ
is ḳharābe kī bhalā
ham uḌā.eñ dhajjiyāñ
'īraj'-e-kotāh-nazar
kam paḌe donoñ jahāñ
ja-ba-ja hai naghma-KHwan
mera dil meri zaban
sunne wala hi nahin
kya karun qissa bayan
mujh se wabasta na kar
ishq ka sud-o-ziyan
panw ke niche zamin
aur sar par aasman
KHud to aage aa gaya
rakh gaya kuchh darmiyan
us ne pheri hai nazar
main abhi tak hun yahan
apni wusat jaanch le
KHud miTa wahm-o-guman
is KHarabe ki bhala
hum uDaen dhajjiyan
'iraj'-e-kotah-nazar
kam paDe donon jahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.