ja-ba-ja shor machati hai meri wahshat hi
jā-ba-jā shor machātī hai mirī vahshat hī
pā-ba-jaulāñ mujhe rakhtī hai mirī vahshat hī
bādiya-sabz rahe yā ki havā-e-sarsar
is ḳharābe meñ to rahtī hai mirī vahshat hī
har-nafas ḳhāma to hai sa.ī-e-raqam meñ masrūf
sar ko āshufta na rakhtī hai mirī vahshat hī
ghar pe rahte hue bhī ghar meñ kahāñ rahtā huuñ
koī aatā hai to miltī hai mirī vahshat hī
laakh ye qarya-e-shab naġhma-sarā ho phir bhī
har taraf gūñjtī rahtī hai mirī vahshat hī
kal sar-e-arz-e-dilāñ bād-e-amāñ chaltī thī
ab idhar ḳhaak uḌātī hai mirī vahshat hī
ja-ba-ja shor machati hai meri wahshat hi
pa-ba-jaulan mujhe rakhti hai meri wahshat hi
baadiya-sabz rahe ya ki hawa-e-sarsar
is KHarabe mein to rahti hai meri wahshat hi
har-nafas KHama to hai sai-e-raqam mein masruf
sar ko aashufta na rakhti hai meri wahshat hi
ghar pe rahte hue bhi ghar mein kahan rahta hun
koi aata hai to milti hai meri wahshat hi
lakh ye qarya-e-shab naghma-sara ho phir bhi
har taraf gunjti rahti hai meri wahshat hi
kal sar-e-arz-e-dilan baad-e-aman chalti thi
ab idhar KHak uDati hai meri wahshat hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.