ja baiThe nadi kinare raat aur main
jā baiThe nadī kināre raat aur maiñ
donoñ ik duuje ke sahāre raat aur maiñ
ik jaise hālāt ke maare haiñ saare
raste patte chāñd sitāre raat aur maiñ
jaag ka.ī din ba.ad tujhe milne aa.e
aaj purāne dost tumhāre raat aur maiñ
kuchh ghar der se aane vāloñ ke saa.e
aur ka.ī be-dar bechāre raat aur maiñ
chup kī tārīkī ke siine se lag kar
so jā.eñge manzar saare raat aur maiñ
ḳhaak uḌātī ḳhvābīda saḌkeñ 'rāhat'
galiyāñ be-raunaq chaubāre raat aur meñ
ja baiThe nadi kinare raat aur main
donon ek duje ke sahaare raat aur main
ek jaise haalat ke mare hain sare
raste patte chand sitare raat aur main
jag kai din baad tujhe milne aae
aaj purane dost tumhaare raat aur main
kuchh ghar der se aane walon ke sae
aur kai be-dar bechaare raat aur main
chup ki tariki ke sine se lag kar
so jaenge manzar sare raat aur main
KHak uDati KHwabida saDken 'rahat'
galiyan be-raunaq chaubare raat aur mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.