ja ke pachhtaenge na ja ke bhi pachhtaiyega
jā ke pachhtā.eñge na jā ke bhī pachhtā.iyegā
aap jaate haiñ vahāñ achchhā chale jā.iyegā
maiñ ka.ī din hue ḳhud se hī jhagaḌ baiThā huuñ
aap fursat se kisī din mujhe samjhā.iyegā
maiñ ḳhayāloñ meñ bhaTak jaatā huuñ baiThe baiThe
bhej aahaT kā sandesa mujhe bulvā.iyegā
maiñ ne zulmat meñ guzāre haiñ ka.ī qarn so aap
raushnī se jo maiñ Dar jā.ūñ na ghabrā.iyegā
maiñ samajhtā huuñ mujhe log samajhte hī nahīñ
maiñ kisī roz na samjhūñ to samajh jā.iyegā
gaah ho jaatā huuñ maiñ apnī anā kā qaidī
maiñ na aa.uuñ to phir aa kar mujhe chhuḌvā.egā
ḳhair-maqdam ko hai tayyār jahāñ jā.iye aap
haañ palaTnā ho to phir mere hī ho jā.iyegā
mujh se zid hai to phir us zid ko nibhāne ke liye
maiñ jo mar jā.ūñ to phir aap bhī mar jā.iyegā
jām-e-jam fikr kā rakhtā hai nirāle manzar
aap jo dekhte haiñ duniyā ko dikhlā.iyegā
soch jab yaksāñ na ho qāfila kis kaam kā hai
aap 'ahmad' kahīñ raste meñ hī rah jā.iyegā
ja ke pachhtaenge na ja ke bhi pachhtaiyega
aap jate hain wahan achchha chale jaiyega
main kai din hue KHud se hi jhagaD baiTha hun
aap fursat se kisi din mujhe samjhaiyega
main KHayalon mein bhaTak jata hun baiThe baiThe
bhej aahaT ka sandesa mujhe bulwaiyega
main ne zulmat mein guzare hain kai qarn so aap
raushni se jo main Dar jaun na ghabraiyega
main samajhta hun mujhe log samajhte hi nahin
main kisi roz na samjhun to samajh jaiyega
gah ho jata hun main apni ana ka qaidi
main na aaun to phir aa kar mujhe chhuDwaega
KHair-maqdam ko hai tayyar jahan jaiye aap
han palaTna ho to phir mere hi ho jaiyega
mujh se zid hai to phir us zid ko nibhane ke liye
main jo mar jaun to phir aap bhi mar jaiyega
jam-e-jam fikr ka rakhta hai nirale manzar
aap jo dekhte hain duniya ko dikhlaiyega
soch jab yaksan na ho qafila kis kaam ka hai
aap 'ahmad' kahin raste mein hi rah jaiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.