ja raha chupke se suraj ka badan pani mein
jā rahā chupke se sūraj kā badan paanī meñ
kyā bujhegī bhalā din bhar kī jalan paanī meñ
shaam āñchal ko pasāre hue baiThī hai abhī
vo utāregā masāfat kī thakan paanī meñ
rang laa.e mirī mehnat bhale kuchh der se hī
Duub jaa.e na mirī sachchī lagan paanī meñ
jaane kyoñ ruuTh ga.ī pyaas mire hoñToñ se
jab se mahsūs huī ek chubhan paanī meñ
raat bhar taare ujālā sabhī ko bāñTeñge
sub.h hote hī bikhereñge kiran paanī meñ
ja raha chupke se suraj ka badan pani mein
kya bujhegi bhala din bhar ki jalan pani mein
sham aanchal ko pasare hue baiThi hai abhi
wo utarega masafat ki thakan pani mein
rang lae meri mehnat bhale kuchh der se hi
Dub jae na meri sachchi lagan pani mein
jaane kyon ruTh gai pyas mere honTon se
jab se mahsus hui ek chubhan pani mein
raat bhar tare ujala sabhi ko banTenge
subh hote hi bikherenge kiran pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.