jada-e-dard ke haalat mere apne hain
jāda-e-dard ke hālāt mire apne haiñ
raah ke saare tilismāt mire apne haiñ
qufl go Daal gayā dast-e-tashaddud lab par
ham-navā mere ḳhayālāt mire apne haiñ
kaise ho radd-e-balā kyā ho tabāhī se gurez
vo jo haiñ bā.is-e-āfāt mire apne haiñ
der se mujh pe jo haiñ sang-zanī meñ masrūf
dekhtī huuñ to sabhī haat mire apne haiñ
na huā mujh ko mayassar kabhī apnā honā
kījiye kyā ki ye hālāt mire apne haiñ
jab kabhī tere ta.alluq kā tahaffuz paayā
zindagī ke vahī lamhāt mire apne haiñ
jin kī buniyād huī mere lahū se ta.amīr
ye gharauñde vo mahallāt mire apne haiñ
sabab-e-gumrahī sābit huā zo.af-e-idrāk
vo jo haa.il haiñ hijābāt mire apne haiñ
maiñ 'ayāñ' dard ke rishte se rahī ālamgīr
fikr ke saare maqāmāt mire apne haiñ
jada-e-dard ke haalat mere apne hain
rah ke sare tilismat mere apne hain
qufl go Dal gaya dast-e-tashaddud lab par
ham-nawa mere KHayalat mere apne hain
kaise ho radd-e-bala kya ho tabahi se gurez
wo jo hain bais-e-afat mere apne hain
der se mujh pe jo hain sang-zani mein masruf
dekhti hun to sabhi hat mere apne hain
na hua mujh ko mayassar kabhi apna hona
kijiye kya ki ye haalat mere apne hain
jab kabhi tere talluq ka tahaffuz paya
zindagi ke wahi lamhat mere apne hain
jin ki buniyaad hui mere lahu se tamir
ye gharaunde wo mahallat mere apne hain
sabab-e-gumrahi sabit hua zoaf-e-idrak
wo jo hail hain hijabaat mere apne hain
main 'ayan' dard ke rishte se rahi aalamgir
fikr ke sare maqamat mere apne hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.