jada-e-haq mein use sabit-qadam hone to do
jāda-e-haq meñ use sābit-qadam hone to do
aadmī ko aadmī hī kam se kam hone to do
imtiyāz-e-īn-o-āñ baaqī kahāñ rah jā.egā
ek markaz par zarā dair-o-haram hone to do
zindagī kyā hai samajh meñ ḳhud-baḳhud aa jā.egā
pahle apne dil ko misl-e-jām-e-jam hone to do
be-ḳhudī-e-shauq meñ bhī gosh-bar-āvāz huuñ
har nafas ko naġhma-e-sāz-e-alam hone to do
shauq se ai bijliyo aanā sajāne ke liye
tinke tinke shāḳh par pahle baham hone to do
ik na ik din DhūñDhtī aa.egī ḳhud manzil hameñ
pahle rāh-e-shauq meñ sābit-qadam hone to do
ḳhūn-e-dil se ho rahī hai dāstān-e-ġham raqam
paḌh hī leñge shauq kī nazroñ se ham hone to do
zindagī kī raah meñ tanhā safar achchhā nahīñ
saath apne ik hujūm-e-yās-o-ġham hone to do
dil se nākāmī kā ye ehsās bhī jaatā rahe
bekas-o-majbūr par itnā sitam hone to do
us jafā-jū ko kareñge ham vafā se āshnā
pahle puurā us kā armān-e-sitam hone to do
'faizī'-e-sho.ala-bayāñ kī bhī ġhazal ho jā.egī
haañ murattab dāstān-e-dard-o-ġham hone to do
jada-e-haq mein use sabit-qadam hone to do
aadmi ko aadmi hi kam se kam hone to do
imtiyaz-e-in-o-an baqi kahan rah jaega
ek markaz par zara dair-o-haram hone to do
zindagi kya hai samajh mein KHud-baKHud aa jaega
pahle apne dil ko misl-e-jam-e-jam hone to do
be-KHudi-e-shauq mein bhi gosh-bar-awaz hun
har nafas ko naghma-e-saz-e-alam hone to do
shauq se ai bijliyo aana sajaane ke liye
tinke tinke shaKH par pahle baham hone to do
ek na ek din DhunDhti aaegi KHud manzil hamein
pahle rah-e-shauq mein sabit-qadam hone to do
KHun-e-dil se ho rahi hai dastan-e-gham raqam
paDh hi lenge shauq ki nazron se hum hone to do
zindagi ki rah mein tanha safar achchha nahin
sath apne ek hujum-e-yas-o-gham hone to do
dil se nakaami ka ye ehsas bhi jata rahe
bekas-o-majbur par itna sitam hone to do
us jafa-ju ko karenge hum wafa se aashna
pahle pura us ka arman-e-sitam hone to do
'faizi'-e-shoala-bayan ki bhi ghazal ho jaegi
han murattab dastan-e-dard-o-gham hone to do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.