jada-e-shauq hai gul-posh to pur-Khaar bhi hai
jāda-e-shauq hai gul-posh to pur-ḳhār bhī hai
justujū hai tirī āsān to dushvār bhī hai
jazba-e-dil kī sadāqat kā ye kyā kam hai subūt
mere hoñToñ pe tirā naam sar-e-dār bhī hai
sāhib-e-zarf jo gardāne ga.e haiñ mai-nosh
sāqiyā dekh ki un meñ koī hushiyār bhī hai
sog shabbīr kā har saal manāne vaalo
tum ko kirdār-e-husainī se sarokār bhī hai
sāda-lauhoñ se kaho aaj vo mohtāt raheñ
vaqt ke haath meñ qānūn bhī talvār bhī hai
chain insāñ ko kisī tarah nahīñ aaj ki vo
'tālib'-e-zīst bhī hai ziist se bezār bhī hai
jada-e-shauq hai gul-posh to pur-KHar bhi hai
justuju hai teri aasan to dushwar bhi hai
jazba-e-dil ki sadaqat ka ye kya kam hai subut
mere honTon pe tera nam sar-e-dar bhi hai
sahib-e-zarf jo gardane gae hain mai-nosh
saqiya dekh ki un mein koi hushiyar bhi hai
sog shabbir ka har sal manane walo
tum ko kirdar-e-husaini se sarokar bhi hai
sada-lauhon se kaho aaj wo mohtat rahen
waqt ke hath mein qanun bhi talwar bhi hai
chain insan ko kisi tarah nahin aaj ki wo
'talib'-e-zist bhi hai zist se bezar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.