jada-e-ulfat ka ye sabr-azma aalam na puchh
jada-e-ulfat ka ye sabr-azma aalam na puchh
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
jāda-e-ulfat kā ye sabr-āzmā 'ālam na pūchh
har qadam par ġham kī manzil ke sivā kuchh bhī nahīñ
yuuñ tasavvur ne baḌhā.e hausle tūfān meñ
jaise har ik mauj-e-sāhil ke sivā kuchh bhī nahīñ
un kī ḳhalvat-gāh bhī hai un kī jalvat-gāh bhī
vus’at-e-kaunain meñ dil ke sivā kuchh bhī nahīñ
zarre zarre meñ haiñ rangā-rang bazm-ārā.iyāñ
donoñ 'ālam terī mahfil ke sivā kuchh bhī nahīñ
bas ajal ke baa'd miltī hai hayāt-e-jāvedāñ
zindagī ik naqsh-e-bātil ke sivā kuchh bhī nahīñ
shikva-e-be-chārgī 'maikash' kisī se kyoñ kareñ
'ishq to mahrūmī-e-dil ke sivā kuchh bhī nahīñ
jada-e-ulfat ka ye sabr-azma 'alam na puchh
har qadam par gham ki manzil ke siwa kuchh bhi nahin
yun tasawwur ne baDhae hausle tufan mein
jaise har ek mauj-e-sahil ke siwa kuchh bhi nahin
un ki KHalwat-gah bhi hai un ki jalwat-gah bhi
wus’at-e-kaunain mein dil ke siwa kuchh bhi nahin
zarre zarre mein hain ranga-rang bazm-araiyan
donon 'alam teri mahfil ke siwa kuchh bhi nahin
bas ajal ke ba'd milti hai hayat-e-jawedan
zindagi ek naqsh-e-baatil ke siwa kuchh bhi nahin
shikwa-e-be-chaargi 'maikash' kisi se kyon karen
'ishq to mahrumi-e-dil ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.