jaDon bhar kyon mere aangan mein saya tha
jāḌoñ bhar kyoñ mere āñgan meñ saaya thā
sūraj ne kis chhat par ḳhema lagvāyā thā
ik patthar thā jo māthe se Takrāyā thā
pheñkne vaalā shāyad merā maañ jaayā thā
phuul ko kab thī sair kī aur tafrīh kī ḳhvāhish
shoḳh havā hī ne ye rasta dikhlāyā thā
totoñ aur chiḌiyoñ ko ab kyoñ DhūñD rahe ho
niim kā peḌ to ḳhud tum ne hī kaTvāyā thā
jīvan kyā thā taash ke pattoñ kī baazī thī
shaah magar kab mere hisse meñ aayā thā
chāroñ qul ik sūra-e-fīl ik sūra-e-kausar
us din ham ne yahī vazīfa dohrāyā thā
raakh ke Dher pe raqs-kunāñ thā vo ik vahshī
vahī ki jis ne saare shahr ko jalvāyā thā
ek qalam kuchh kore kāġhaz aur kuchh socheñ
le de ke bas yahī to merā sarmāya thā
ik 'shabnam' thī jo mahfūz thī ḳhema-e-gul meñ
pattī pattī ko sūraj ne bahkāyā thā
jaDon bhar kyon mere aangan mein saya tha
suraj ne kis chhat par KHema lagwaya tha
ek patthar tha jo mathe se Takraya tha
phenkne wala shayad mera man jaya tha
phul ko kab thi sair ki aur tafrih ki KHwahish
shoKH hawa hi ne ye rasta dikhlaya tha
toton aur chiDiyon ko ab kyon DhunD rahe ho
nim ka peD to KHud tum ne hi kaTwaya tha
jiwan kya tha tash ke patton ki bazi thi
shah magar kab mere hisse mein aaya tha
chaaron qul ek sura-e-fil ek sura-e-kausar
us din hum ne yahi wazifa dohraya tha
rakh ke Dher pe raqs-kunan tha wo ek wahshi
wahi ki jis ne sare shahr ko jalwaya tha
ek qalam kuchh kore kaghaz aur kuchh sochen
le de ke bas yahi to mera sarmaya tha
ek 'shabnam' thi jo mahfuz thi KHema-e-gul mein
patti patti ko suraj ne bahkaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.