jadu thi sehr thi bala thi
jaadū thī sehr thī balā thī
zālim ye tirī nigāh kyā thī
kīdhar hai kahāñ hai ḳhush-dilī tū
ham se bhī kabhū tū āshnā thī
shīrīñ bhī tujhī sī thī sitamgar
lailā bhī agarche bevafā thī
farhād pe is qadar na thā zulm
majnūñ pe na ye ġhazab jafā thī
maarā hai 'bayāñ' ko jin ne ai shoḳh
kyā jāniye kaun sī adā thī
jadu thi sehr thi bala thi
zalim ye teri nigah kya thi
kidhar hai kahan hai KHush-dili tu
hum se bhi kabhu tu aashna thi
shirin bhi tujhi si thi sitamgar
laila bhi agarche bewafa thi
farhad pe is qadar na tha zulm
majnun pe na ye ghazab jafa thi
mara hai 'bayan' ko jin ne ai shoKH
kya jaaniye kaun si ada thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.