jaega dil kahan hoga yahin kahin
jā.egā dil kahāñ hogā yahīñ kahīñ
jab dil kā ham-nashīñ miltā nahīñ kahīñ
yuuñ us kī yaad hai dil meñ basī huī
jaise ḳhazāna ho zer-e-zamīñ kahīñ
ham ne tumhārā ġham dil meñ chhupāyā hai
dekhā bhī hai kabhī aisā amiiñ kahīñ
merī darāz meñ hai us kā ḳhat dharā
aTkā huā na ho dil bhī vahīñ kahīñ
hai us kā ḳhat to bas sīdhā sapāT sā
haañ dil-lagī bhī hai is meñ kahīñ kahīñ
jitnā vo dil-rubā utnā hī bevafā
dil ko milā hī kyoñ aisā hasīñ kahīñ
'ahmad' ye dil mirā kyoñ hai bujhā bujhā
dil se ḳhafā na ho dil kā makīñ kahīñ
jaega dil kahan hoga yahin kahin
jab dil ka ham-nashin milta nahin kahin
yun us ki yaad hai dil mein basi hui
jaise KHazana ho zer-e-zamin kahin
hum ne tumhaara gham dil mein chhupaya hai
dekha bhi hai kabhi aisa amin kahin
meri daraaz mein hai us ka KHat dhara
aTka hua na ho dil bhi wahin kahin
hai us ka KHat to bas sidha sapaT sa
han dil-lagi bhi hai is mein kahin kahin
jitna wo dil-ruba utna hi bewafa
dil ko mila hi kyon aisa hasin kahin
'ahmad' ye dil mera kyon hai bujha bujha
dil se KHafa na ho dil ka makin kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.