jaen ghuD-dauD par ki khelen tash
jaa.eñ ghuḌ-dauḌ par ki kheleñ taash
'mīr'-jī rāz-e-ishq hogā faash
pattharoñ meñ lagā rahe haiñ joñk
chāñd meñ ḳhūn-e-garm kī hai talāsh
yuuñ jhagaḌte haiñ jhūTī qadroñ par
zan-e-fāhish pe jis tarah aubāsh
na.e andāz se hanūt huī
ab na bū degī zindagī kī laash
uḌ gayā bhaap ban ke dil kā lahū
ab zamīñ duur hai qarīb ākāsh
hue maflūj vo bhī jin ke liye
ek aalam thā bar-sar-e-parḳhāsh
lāla-e-koh ko dimāġh nahīñ
nashsha laatī hai muḳhtalif ḳhashḳhāsh
kaise bhūkoñ mareñge itne log
be-huda ahd-e-nau meñ fikr-e-qimāsh
haf-iqlīm ke ḳhazānoñ par
haath Dāleñge an-ginat qallāsh
ab na aayā hisār se bāhar
naqsh meñ ḳhud hī Dhal gayā naqqāsh
rashk-e-gul hoñ ki misl-e-nashtar hoñ
yahī nāḳhun 'nazar' meñ zaḳhm-tarāsh
jaen ghuD-dauD par ki khelen tash
'mir'-ji raaz-e-ishq hoga fash
pattharon mein laga rahe hain jonk
chand mein KHun-e-garm ki hai talash
yun jhagaDte hain jhuTi qadron par
zan-e-fahish pe jis tarah aubash
nae andaz se hanut hui
ab na bu degi zindagi ki lash
uD gaya bhap ban ke dil ka lahu
ab zamin dur hai qarib aakash
hue mafluj wo bhi jin ke liye
ek aalam tha bar-sar-e-parKHash
lala-e-koh ko dimagh nahin
nashsha lati hai muKHtalif KHashKHash
kaise bhukon marenge itne log
be-huda ahd-e-nau mein fikr-e-qimash
haf-iqlim ke KHazanon par
hath Dalenge an-ginat qallash
ab na aaya hisar se bahar
naqsh mein KHud hi Dhal gaya naqqash
rashk-e-gul hon ki misl-e-nashtar hon
yahi naKHun 'nazar' mein zaKHm-tarash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.