jaez hai har ek harba is waqt siyasat mein
jaa.ez hai har ik harba is vaqt siyāsat meñ
patthar kā bayāñ le lo shīshe kī adālat meñ
lafzoñ se judā ho kar ik lafz huā tanhā
farsūda ḳhayāloñ kī maqbūza-riyāsat meñ
niklā thā julūs apne tārīk muqaddar kā
ma.azūl tamaddun kī maflūj qayādat meñ
ifrīt adāvat kā har vaqt Darātā thā
ham log muqayyad the vahshat kī imārat meñ
chehre pe ayaañ us ke manzar thā palāsī kā
niklā thā vo azmat ke lashkar kī himāyat meñ
pal-bhar meñ jalāyā thā isyāñ ke pahāḌoñ ko
ye soz-e-nihāñ kaisā thā ashk-e-nadāmat meñ
ye daur-e-ḳhirad 'jāmī' jazboñ se huā aarī
har jism pighaltā hai saa.e kī rifāqat meñ
jaez hai har ek harba is waqt siyasat mein
patthar ka bayan le lo shishe ki adalat mein
lafzon se juda ho kar ek lafz hua tanha
farsuda KHayalon ki maqbuza-riyasat mein
nikla tha julus apne tarik muqaddar ka
mazul tamaddun ki mafluj qayaadat mein
ifrit adawat ka har waqt Daraata tha
hum log muqayyad the wahshat ki imarat mein
chehre pe ayan us ke manzar tha palasi ka
nikla tha wo azmat ke lashkar ki himayat mein
pal-bhar mein jalaya tha isyan ke pahaDon ko
ye soz-e-nihan kaisa tha ashk-e-nadamat mein
ye daur-e-KHirad 'jami' jazbon se hua aari
har jism pighalta hai sae ki rifaqat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.