jaeza len hum agar kya hai hamari zindagi
jā.eza leñ ham agar kyā hai hamārī zindagī
ek hī unvān hogā ishtihārī zindagī
jab chalī koī havā uḌte ga.e ham duur tak
ḳhushk pattoñ kī tarah ham ne guzārī zindagī
chāñd ko bāñhoñ meñ bharne kī faqat hasrat liye
duur se dekhā kiye logoñ kī pyārī zindagī
kis qadar be-kār hai kaalā dhuāñ uḌtā huā
yuuñ samajh lo ham ne bhī yūñhī guzārī zindagī
ham rahe sahrā meñ jalte āsmāñ ke paas 'aks'
raakh kar lī hai jalā kar ham ne saarī zindagī
jaeza len hum agar kya hai hamari zindagi
ek hi unwan hoga ishtihaari zindagi
jab chali koi hawa uDte gae hum dur tak
KHushk patton ki tarah hum ne guzari zindagi
chand ko banhon mein bharne ki faqat hasrat liye
dur se dekha kiye logon ki pyari zindagi
kis qadar be-kar hai kala dhuan uDta hua
yun samajh lo hum ne bhi yunhi guzari zindagi
hum rahe sahra mein jalte aasman ke pas 'aks'
rakh kar li hai jala kar hum ne sari zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.