jaga nasib kanp uThi zulmat-e-hayat
jaagā nasīb kaañp uThī zulmat-e-hayāt
jab haath meñ liyā hai mohabbat se tū ne haat
ghabrā.egā bahut dil-e-ġham-ghīñ tire baġhair
rahne de ye ḳhulūs ye chāhat ye iltifāt
barkhā kī sāñvlī sī sahar rang ruup meñ
shānoñ pe jhūmtī huī vo mālve kī raat
māthe pe sub.h-e-ilm kī pau phūTtī huī
āñkhoñ meñ jaise kheltī ho rūh-e-kā.enāt
dil meñ ghuTī ghuTī sī rahegī kahāñ talak
aa jaao kah duuñ kaan meñ chupke se ek baat
lau de uThā hai taar har ik thartharā ke aaj
kin uñgliyoñ ne chheḌ diyā barbat-e-hayāt
jaga nasib kanp uThi zulmat-e-hayat
jab hath mein liya hai mohabbat se tu ne hat
ghabraega bahut dil-e-gham-ghin tere baghair
rahne de ye KHulus ye chahat ye iltifat
barkha ki sanwli si sahar rang rup mein
shanon pe jhumti hui wo malwe ki raat
mathe pe subh-e-ilm ki pau phuTti hui
aankhon mein jaise khelti ho ruh-e-kaenat
dil mein ghuTi ghuTi si rahegi kahan talak
aa jao kah dun kan mein chupke se ek baat
lau de uTha hai tar har ek tharthara ke aaj
kin ungliyon ne chheD diya barbat-e-hayat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.