jage ki koi soe hum farz nibha aae
jaage ki koī so.e ham farz nibhā aa.e
ham raat kī galiyoñ maiñ āvāz lagā aa.e
ma.alūm nahīñ ham ko phūloñ meñ chhupā kyā hai
bātoñ se to zālim kī ḳhushbu-e-vafā aa.e
zaḳhmo pe koī marham rakkhe yā namak chhiḌke
ham dard kā afsāna duniyā ko sunā aa.e
uThtī chalī jaatī hai dīvār gunāhoñ kī
kah do ye samundar se sāhil pe chalā aa.e
andāz-e-nazar us kā pāgal na kahīñ kar de
jab us kī taraf dekhūñ āñkhoñ meñ nasha aa.e
yādoñ ke darīchoñ se bachpan kī galī jhoñke
'rāhī' mire āñgan meñ mamtā kī havā aa.e
jage ki koi soe hum farz nibha aae
hum raat ki galiyon main aawaz laga aae
malum nahin hum ko phulon mein chhupa kya hai
baaton se to zalim ki KHushbu-e-wafa aae
zaKHmo pe koi marham rakkhe ya namak chhiDke
hum dard ka afsana duniya ko suna aae
uThti chali jati hai diwar gunahon ki
kah do ye samundar se sahil pe chala aae
andaz-e-nazar us ka pagal na kahin kar de
jab us ki taraf dekhun aankhon mein nasha aae
yaadon ke darichon se bachpan ki gali jhonke
'rahi' mere aangan mein mamta ki hawa aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.