jagna apna na sona apna
jāgnā apnā na sonā apnā
raat kāñToñ kā bichhaunā apnā
bazm bhī us kī nazar bhī us kī
apnā honā bhī na honā apnā
justujū hai tirī ye jaan ke bhī
tujh ko pā lenā hai khonā apnā
haar jaanā vahī hālāt se phir
raat din phir vahī ronā apnā
us pe chal jaa.e kisī din 'tāriq'
koī mantar koī Tonā apnā
jagna apna na sona apna
raat kanTon ka bichhauna apna
bazm bhi us ki nazar bhi us ki
apna hona bhi na hona apna
justuju hai teri ye jaan ke bhi
tujh ko pa lena hai khona apna
haar jaana wahi haalat se phir
raat din phir wahi rona apna
us pe chal jae kisi din 'tariq'
koi mantar koi Tona apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.