jagna raaton mein yaadon ke bhanwar mein Dubna
jāgnā rātoñ meñ yādoñ ke bhañvar meñ Dūbnā
vo dil-e-muztar kā sail-e-chashm-e-tar meñ Dūbnā
pahle apne nafs kī mismār karnī hai fasīl
aur us ke baad hai kār-e-digar meñ Dūbnā
bhar liyā āñkhoñ meñ dariyāoñ ko dariyā ke liye
saḳht mushkil ho gayā paanī ke ghar meñ Dūbnā
aur hoñge vo jinheñ duniyā kā ho ḳhauf-o-hirās
ham ne sīkhā hī nahīñ duniyā ke Dar meñ Dūbnā
ābla-pā.ī kā mausam raas aa jaatā agar
kaam aa jaatā mirā gard-e-safar meñ Dūbnā
Duub ke ubhre haiñ ham duniyā ke har majdhār se
ab rahā baaqī faqat naqd-o-nazar meñ Dūbnā
dūsroñ kī aib-jūī jis qadar āsān hai
utnā hī dushvār hai ḳhud kī nazar meñ Dūbnā
jaane kis manzil pe le jaa.e tujhe jazb-e-junūñ
har qadam 'najmī' tirā naqd-o-nazar meñ Dūbnā
jagna raaton mein yaadon ke bhanwar mein Dubna
wo dil-e-muztar ka sail-e-chashm-e-tar mein Dubna
pahle apne nafs ki mismar karni hai fasil
aur us ke baad hai kar-e-digar mein Dubna
bhar liya aankhon mein dariyaon ko dariya ke liye
saKHt mushkil ho gaya pani ke ghar mein Dubna
aur honge wo jinhen duniya ka ho KHauf-o-hiras
hum ne sikha hi nahin duniya ke Dar mein Dubna
aabla-pai ka mausam ras aa jata agar
kaam aa jata mera gard-e-safar mein Dubna
Dub ke ubhre hain hum duniya ke har majdhaar se
ab raha baqi faqat naqd-o-nazar mein Dubna
dusron ki aib-jui jis qadar aasan hai
utna hi dushwar hai KHud ki nazar mein Dubna
jaane kis manzil pe le jae tujhe jazb-e-junun
har qadam 'najmi' tera naqd-o-nazar mein Dubna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.