jagna sae mein aur dhup mein sona us ka
jāgnā saa.e meñ aur dhuup meñ sonā us kā
us ke ehsās se sābit thā na honā us kā
dil-shikasta ho vo kyoñ sar-phirī bātoñ se mirī
maiñ ne bachpan meñ bhī toḌā thā khilaunā us kā
ik sitam-pesha tabī.at kā pata detā hai
kāġhazī naav ko bārish meñ Dubonā us kā
phir koī yaad chhuḌā letī hai uñglī mujh se
yaad aatā hai kisī bhiiḌ meñ khonā us kā
ek hī TuuTe hue pul ke the raahī donoñ
maut se baḌh ke thā vo duur se ronā us kā
ḳhud-shanāsī kā koī ilm na thā 'aah' use
log miTTī meñ milāte rahe sonā us kā
jagna sae mein aur dhup mein sona us ka
us ke ehsas se sabit tha na hona us ka
dil-shikasta ho wo kyon sar-phiri baaton se meri
main ne bachpan mein bhi toDa tha khilauna us ka
ek sitam-pesha tabiat ka pata deta hai
kaghazi naw ko barish mein Dubona us ka
phir koi yaad chhuDa leti hai ungli mujh se
yaad aata hai kisi bhiD mein khona us ka
ek hi TuTe hue pul ke the rahi donon
maut se baDh ke tha wo dur se rona us ka
KHud-shanasi ka koi ilm na tha 'ah' use
log miTTi mein milate rahe sona us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.