jagne walo jagte rahna kuchh mat kahna
jāgne vaalo jāgte rahnā kuchh mat kahnā
jāgte rahne kā dukh sahnā kuchh mat kahnā
har mausam meñ jhūlne vaalī in bāñhoñ meñ
kaise utrā hai ye gahnā kuchh mat kahnā
tū ne chup kā haar ai dariyā giit gale meñ
kab pahnā aur kaise pahnā kuchh mat kahnā
maiñ bhī tere sāhil par ḳhāmosh khaḌā huuñ
tū bhī chupke-chupke bahnā kuchh mat kahnā
duurī ke sadme ko ai dil vasl kī shab tak
maiñ bhī sahūñgā tū bhī sahnā kuchh mat kahnā
ek samundar meñ pyāsā hai ik sahrā meñ
ye hai apnā apnā gahnā kuchh mat kahnā
din biitā yā jag biitā hai ‘ḳhalish-muzaffar'
‘ḳhalish-muzaffar' kuchh mat kahnā kuchh mat kahnā
jagne walo jagte rahna kuchh mat kahna
jagte rahne ka dukh sahna kuchh mat kahna
har mausam mein jhulne wali in banhon mein
kaise utra hai ye gahna kuchh mat kahna
tu ne chup ka haar ai dariya git gale mein
kab pahna aur kaise pahna kuchh mat kahna
main bhi tere sahil par KHamosh khaDa hun
tu bhi chupke-chupke bahna kuchh mat kahna
duri ke sadme ko ai dil wasl ki shab tak
main bhi sahunga tu bhi sahna kuchh mat kahna
ek samundar mein pyasa hai ek sahra mein
ye hai apna apna gahna kuchh mat kahna
din bita ya jag bita hai ‘KHalish-muzaffar'
‘KHalish-muzaffar' kuchh mat kahna kuchh mat kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.