jagta jita badan bhi wahm bhi saya bhi hun
jagta jita badan bhi wahm bhi saya bhi hun
Basheer Ahmad Basheer
MORE BYBasheer Ahmad Basheer
jāgtā jiitā badan bhī vahm bhī saaya bhī huuñ
ik tarah mohkam haqīqat ik tarah dhokā bhī huuñ
ruup ik vo bhī hai merā ruup ik ye bhī mirā
terā maz.har huuñ ḳhud apnī zaat kā parda bhī huuñ
kal mujhe pāoge kyā kal tak to huuñ reg-e-ravāñ
dekh lo mujh ko isī lamhe ki ā.īna bhī huuñ
maiñ ki huuñ ab in siloñ ke sard sannāToñ meñ gum
toḌ kar dekho mujhe to mahshar-e-barpā bhī huuñ
tum ne sadiyoñ āzmāyā phir vahī mujh se umiid
lakka-e-abr-e-ravāñ huuñ maiñ kabhī Thahrā bhī huuñ
maiñ abad bhī huuñ azal bhī har zamāne kā huuñ ism
aane vaalī rut bhī huuñ biitā huā lamha bhī huuñ
kis jihat ab jā.ūñ terī samt yā apnī taraf
hādisa kuchh kam nahīñ terā bhī huuñ apnā bhī huuñ
jo bhī ab chāho samajh lo jo bhī ab kah lo 'bashīr'
sāmne maujūd huuñ jo kuchh bhī huuñ jaisā bhī huuñ
jagta jita badan bhi wahm bhi saya bhi hun
ek tarah mohkam haqiqat ek tarah dhoka bhi hun
rup ek wo bhi hai mera rup ek ye bhi mera
tera mazhar hun KHud apni zat ka parda bhi hun
kal mujhe paoge kya kal tak to hun reg-e-rawan
dekh lo mujh ko isi lamhe ki aaina bhi hun
main ki hun ab in silon ke sard sannaTon mein gum
toD kar dekho mujhe to mahshar-e-barpa bhi hun
tum ne sadiyon aazmaya phir wahi mujh se umid
lakka-e-abr-e-rawan hun main kabhi Thahra bhi hun
main abad bhi hun azal bhi har zamane ka hun ism
aane wali rut bhi hun bita hua lamha bhi hun
kis jihat ab jaun teri samt ya apni taraf
hadisa kuchh kam nahin tera bhi hun apna bhi hun
jo bhi ab chaho samajh lo jo bhi ab kah lo 'bashir'
samne maujud hun jo kuchh bhi hun jaisa bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.